Friday, April 1, 2016


               
Zindagi



Aap hai jis bhool mein usse nikalkar dekhna,
jo haqiqat hai jara usko sambhalkar dekhna,
Jitne bhi pathar yaha wo aayenge teri taraf,
jo yaki aata n ho to sach ugalkar dekhna,
Dusro ki musqilo mein kaam aana chaiye,
dusro ki aag mein bhi aap jalkar dekhna,
Jo bhi chahoge wo haasil kar sakoge aap bhi,
waqt ke anusar yaaro aap dhalkar dekhna,
Ho safar koi magar, aasan wo hota nahi,
dhoop ya baarish mein thodi door chalkar dekhna,
Aag nafrat ki ham eek din jala degi, ‘tushar’,
aap nafrat ko mohabbat mein badalkar dekhna.

No comments:

Post a Comment