Friday, April 1, 2016


               
Zindagi



Aap hai jis bhool mein usse nikalkar dekhna,
jo haqiqat hai jara usko sambhalkar dekhna,
Jitne bhi pathar yaha wo aayenge teri taraf,
jo yaki aata n ho to sach ugalkar dekhna,
Dusro ki musqilo mein kaam aana chaiye,
dusro ki aag mein bhi aap jalkar dekhna,
Jo bhi chahoge wo haasil kar sakoge aap bhi,
waqt ke anusar yaaro aap dhalkar dekhna,
Ho safar koi magar, aasan wo hota nahi,
dhoop ya baarish mein thodi door chalkar dekhna,
Aag nafrat ki ham eek din jala degi, ‘tushar’,
aap nafrat ko mohabbat mein badalkar dekhna.

Wednesday, March 30, 2016

                         Apni Aankhon Mein, Kisi Aur Ko Basa Na Dena...
Mere Siwa Kisi Aur Ko, Apni Wafa Na Dena...

Tera Khwaab, Teri Chahat, Teri Aarzoo Hoon Main...
Mujhe Zindagi Mein Kabhi, Bhula Na Dena...

Hadd Se Jyaada, Bas Tumhi Ko Chaha Hai
Pal Bhar Bhi Hum Juda Ho, Aisi Saza Na Dena

Tumse Bichadkar, Jeena Na Aayega Humein...
Hum Mar Jaayenge, Kabhi Daga Na Dena...

Muntazir Hai Meri Aankhein, Tere Deedar Ko...
Raat Bhar Jaga Kar, Inhe Thaka Na Dena...

Jidhar Bhi Dekhoon, Bas Tumko Hi Paaon Main...
Nazar Aa Jaaye Mera Aks, Woh Aaina Na Dena...

Raah-E-Ulfat Mein Chal Padhe Hai Mere Qadam...
Ya Rab Manzil Se Pahele Mujhko Qaza Na Dena........